Breaking News
recent

Hansi dekh ke meri, sab mehfil main muskura diye shayari

Hansi dekh ke meri, sab mehfil main muskura diye,
Tumne padh liye shayad gham jo mere paas aa gaye

Baahon main bhar ke poochha jab tumne,
Kucch na bole hum bas muskura diye.

Jaana tha aaj tumhe humse door hamesha ke liye,
Jaate jaate tere chehre se ashq chura liye.

Sajj ke beithi thi tu apne mehboob ke aagosh main,
Saare armaan apne ishq ki aag main jala diye.

Kucch na socha kabhi maine kucch na chaha tha tere siwa,
Keh na paaya dil ki baat shayad thi ye meri khata.

Kaash main iqraar kar deta apni mohabbat ka,
Toh anjaam-e-Ishq main na milti ye saza.

Jaana hai kal subah tumhe sab naato ko tod kar,
Is baat ne mere ashq thay baha diye.

Dekhi thi maine shikan tere chehre par bhi,
Mere aasuon ne sitam tujhpe dha diye.

Tune poochha jab hale dil de ke apni kasam,
Raaz sare is dil k thay tujhe bata diye.

Palkein bheegi huyi lab khamosh thay,
Teri khamoshi ne mujhe saare jawab diye.

Saj chuki thi par doli teri,
Hum dono ne apne gham chhupa liye.

Sab roye thay teri vidaayi main,
Dekha jab tune mujhe toh hum muskura diye.


Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !

Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !

Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !

Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !

Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho?
? Toh itihaas banaati hai !

Khuda Hi Khuda
Idhar khuda hai, udar khuda hai,
Jidar dekho udar khuda hai,
idhar-udhar bus khuda hi khuda hai
jidhar nahi khuda hai?udhar kal khudega!

Hathon se girr gaee lakiren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeer kahin,
Agar tumhe mile to utha lena,
Mere hisse ki har khushi hathon mein saja lena.

Tumhari khushi hi se hi nahin, gham se bhi rishta hai humara,
Ye jo tumhari zindagi hai, woh ek hissa hai humara,
Aye-dost tumse lafzon ka hi nahin, Ruh ka bhi rishta hai humara.
max

max

No comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.